Delhi ke Feroz Shah Kotla maidan ke nikat hai Feroz Shah Kotla Qila. Iss qile ko 1354 mein Feroz Shah Tughlaq ne banwaya tha. Iss qile ki deewarein lagbhag 15 meter unnchi hai aur diwaron mein bahar ki taraf mamuli dhalan hai.
Mana jata hai ki iss qile mein Djinn rahte hai, jo yahan ghoomne aaye rahgiron ko pareshan karte hain. Yahan har guruwar Djinnon ko shant rakhne ke liye mombattiyan jalai jati hain, maszid ki diwaron par sikke chipkaye jate hain, doodh, mithai, phal aur yahan tak ki mass bhi chadhya jata hai. Itna hi nahin Rahgir yahan patr likhkar jate hain taki Djinn unki samasyaon ko suljha sakein. Yah pratha 1970 mein Laadu Shah ne shuru ki thi jiske baad se yah jagah aabad ho gayi.
No comments:
Post a Comment